Showing posts with label GHAZAL. Show all posts
Showing posts with label GHAZAL. Show all posts
Monday, 7 October 2013
Her Cheez tumhari lota di
Her Cheez tumhari lota di
Hum le k nahi kuch sath chalay
Phir dosh na dena ay logo
Hum dekh lo khali haath chalay
Ye raah akele kaati hy
Yahan sath na koi "Yaar" chalay
Us paar najane kya payein?
Es paar to sab kuch haar chalay
Labels:
GHAZAL
Saturday, 28 September 2013
Uske Sath Rehte Rehte Uski Chahat Si Ho Gayi Hai
Uske Sath Rehte Rehte
Uski Chahat Si Ho Gayi Hai
Usse Baat Karte Karte
Mujhe Uski Aadat Si Ho Gayi Hai
Ek Pal Na Mile Toh Bechani Si Lagti
Hai
Dosti Nibhate Nibhate
Usse Mohabbat Si Ho Gayi Hai...!!
Labels:
GHAZAL
Friday, 27 September 2013
Sadaa-e-ghaib samajh aur bay thikana ho
Sadaa-e-ghaib samajh aur bay thikana ho..
Sabhi ko rota hua chhorr ker rawana ho...
^^Yeh Kainaat jo mairy liye jahannam hay..Kissi gunah ka mumkin hay shakhsaana ho...
^^Koi millay to lahoo mein rawan rahay her pal..
Kisi say ishq agar ho to walehaana ho...
^^Yeh aik toota hua dil ! Magar kissay maloom..
Hamaray paas yahi aakhri thikaana ho...
^^Yeh har taraf jo bharrakti hay aag ! Mumkan hay..
Abhi yahaan kisi namrood ka zamana
ho...
^^Main ker bhe sakta hoon mazdoori-e-junoo,n shahzad..
Kissi ka wasl agar iss ka mehntaana ho...
Labels:
GHAZAL
Subscribe to:
Posts (Atom)


